daim sarab ek mere andar hai kya karun
sahra meri nazar mein samundar hai kya karun
dekhe jo meri neki ko shak ki nigah se
wo aadmi bhi to mere andar hai kya karun
yak-guna be-KHudi ko hi ab DhunDhta hai dil
gham aur KHushi ka bojh barabar hai kya karun
achchha to hai ki sab se milun ek hi tarah
lekin wo aur logon se behtar hai kya karun
milte hain yun to log ba-zahir bahut gale
har aastin mein koi KHanjar hai kya karun
Ghazal
Daim sarab ek mere andar hai kya karun
Salman Akhtar