dagh dhul gae ab to dard mein kami si hai
zindagi na jaane kyun phir bhi ajnabi si hai
kal jis aabgine se mauj-e-mai chhalakti thi
aaj us aabgine ki aankh mein nami si hai
kaif-e-chashm-e-saqi mein kuchh kami nahin lekin
jashn-e-mai-gusaran mein aaj be-dili si hai
gardish-e-jahan mein bhi kuchh asar hai laghzish ka
aur nabz-e-hasti bhi kuchh ruki ruki si hai
saz-e-arzu chup hai ruh mein hai sannaTa
dil mein jo bhi surat hai ab miTi miTi si hai

Ghazal
Dagh dhul gae ab to dard mein kami si hai
Khurshid-ul-islam