chup the bargad KHushk mausam ka gila karte na the 
chal rahi thin aandhiyan patte sada karte na the 
hum rasida the ki dekhen dusron ko shoala-pa 
the safar mein aur safar ki ibtida karte na the 
band tha pani saf-ara the ghanim-e-ru-siyah 
hum ada is par bhi rasm-e-karbala karte na the 
mutmain the ahl-e-maqtal nim-jaan kar ke mujhe 
kaisi hushyari thi sar tan se juda karte na the 
hum ko kis shab zinda rahne ki hawas hoti na thi 
din mein hum kab KHud-kushi ka faisla karte na the 
kaise dur-andesh munsif the ki insafan mujhe 
mante the be-KHata lekin riha karte na the
 
        Ghazal
Chup the bargad KHushk mausam ka gila karte na the
Nashtar Khaanqahi

