chup-chap sulagta hai diya tum bhi to dekho
kis dard ko kahte hain wafa tum bhi to dekho
mahtab-ba-kaf raat kase DhunD rahi hai
kuchh dur chalo aao zara tum bhi to dekho
kis tarah kinaron ko hai sine se lagae
Thahre hue pani ki ada tum bhi to dekho
yaadon ke saman-zar se aai hui KHushbu
daman mein chhupa lai hai kya tum bhi to dekho
kuchh raat gae roz jo aati hai faza se
har dil mein hai ek zaKHm chhupa tum bhi to dekho
har hanste hue phul se rishta hai KHizan ka
har dil mein hai ek zaKHm chhupa tum bhi to dekho
kyun aane lagin sans mein gahraiyan socho
kyun TuT chale band-e-qaba tum bhi to dekho
Ghazal
Chup-chap sulagta hai diya tum bhi to dekho
Bashar Nawaz