chup bhi ho bak raha hai kya waiz
maghz rindon ka kha gaya waiz
tere kahne se rind jaenge
ye to hai KHana-e-KHuda waiz
allah allah ye kibr aur ye ghurur
kya KHuda ka hai dusra waiz
be-KHata mai-kashon pe chashm-e-ghazab
hashr hone de dekhna waiz
hum hain qaht-e-sharab se bimar
kis maraz ki hai tu dawa waiz
rah chuka mai-kade mein sari umr
kabhi mai-KHane mein bhi aa waiz
hajw-e-mai kar raha tha mimbar par
hum jo pahunche to pi gaya waiz
duKHt-e-raz ko bura mere aage
phir na kahna kabhi suna waiz
aaj karta hun wasf-e-mai main 'amir'
dekhun kahta hai is mein kya waiz
Ghazal
Chup bhi ho bak raha hai kya waiz
Ameer Minai