chori chori aankh laDte mein dikha dun to sahi
khans kar khankhaar kar us ko jata dun to sahi
mil to dekhe ghair se kis tarah milta hai wo shoKH
wo jo naqsha us ne bandha hai miTa dun to sahi
jal-bujhe sine mein dil lekin na nikle munh se aah
dar muqaffal kar ke main ghar ko jala dun to sahi
ishq kahta hai ki sar-rishta dil ka mere hath
jun patang ek din kaTa kar main luTa dun to sahi
sath le kar yar ghairon ko idhar aata to hai
ai 'nisar' us se ye rasta main chhuDa dun to sahi
Ghazal
Chori chori aankh laDte mein dikha dun to sahi
Mohammad Amaan Nisar