chiz dil hai ruKH-e-gulfam mein kya rakkha hai
kaif sahba mein hai KHud jam mein kya rakkha hai
gungunata hua dil chahiye jine ke liye
is naza-e-sahar-o-sham mein kya rakkha hai
kaun kis tarah se hota hai harifââââ-e-mai-e-zist
aur talKHaba-e-ayyam mein kya rakkha hai
ishq karta hai to kar aur nigahon ko buland
rishta-e-rah-guzar-o-baam mein kya rakkha hai
murgh-e-azad hua kya teri KHuddari ko
chand danon ke siwa dam mein kya rakkha hai
husn fankar ki ek chheD hai ishq-e-nadan
bewafai ke is ilzam mein kya rakkha hai
dekhna ye hai ki wo dil mein makin hai ki nahin
chahe jis nam se ho nam mein kya rakkha hai
den mere zauq-e-parastish ko duaen 'mulla'
warna patthar ke in asnam mein kya rakkha hai
Ghazal
Chiz dil hai ruKH-e-gulfam mein kya rakkha hai
Anand Narayan Mulla