اردو हिंदी
ChhuT gae hum jo asir-e-gham-e-hijran ho kar | Shaahi Shayari
chhuT gae hum jo asir-e-gham-e-hijran ho kar

Ghazal

ChhuT gae hum jo asir-e-gham-e-hijran ho kar

Rasheed Rampuri

;

chhuT gae hum jo asir-e-gham-e-hijran ho kar
uD gaya rang-e-ruKH-e-yar pareshan ho kar

kucha-e-yar se uTThe na pareshan ho kar
mil gae KHak mein KHak-e-dar-e-jaanan ho kar

sath apne dil-e-bimar ko lete jao
kyun hon hum tum se KHajil talib-e-darman ho kar

na gila tum se sitam ka na wafa ka shikwa
kya karoge mere ahwal ke pursan ho kar

haal apna jo bayan karta hun logon se 'rashid'
dekhte hain meri surat wo pareshan ho kar