chhupata hun magar chhupta nahin dard-e-nihan phir bhi
nigah-e-yas ho jati hai dil ki tarjuman phir bhi
gham-e-wamandgi se be-niyaz-e-hosh baiTha hun
chali aati hai aawaz-e-dara-e-karwan phir bhi
hijab-andar-hijab amwaj-e-tufan-e-tajalli hain
farogh-e-shama se parwana hai aatish-ba-jaan phir bhi
ishaaron se nigahon se bahut kuchh mana karta hun
qafas hi par jhuki paDti hai shaKH-e-ashiyan phir bhi
bahut dilchasp hai 'simab' sham-e-wadi-e-ghurbat
watan ki subh mein kuchh aur thin ranginiyan phir bhi

Ghazal
Chhupata hun magar chhupta nahin dard-e-nihan phir bhi
Seemab Akbarabadi