اردو हिंदी
Chhupa rakkha tha yun KHud ko kamal mera tha | Shaahi Shayari
chhupa rakkha tha yun KHud ko kamal mera tha

Ghazal

Chhupa rakkha tha yun KHud ko kamal mera tha

Mughni Tabassum

;

chhupa rakkha tha yun KHud ko kamal mera tha
kisi pe khul nahin paya jo haal mera tha

har ek pa-e-shikasta mein thi meri zanjir
har ek dast-e-talab mein sawal mera tha

main reza reza bikharta chala gaya KHud hi
ki apne aap se bachna muhaal mera tha

har ek samt se sang-e-sada ki barish thi
main chup raha ki yahi kuchh maal mera tha

tera KHayal tha taza hawa ke jhonke mein
jo gard uD ke gai hai malal mera tha

main ro paDa hun 'tabassum' siyah raaton mein
ghurub-e-mah mein shayad zawal mera tha