chhup ke ghairon se dil mein aa jaana 
ai sanam ruKH mujhe dikha jaana 
bar-sar-e-rah hai meri turbat 
hath bahr-e-dua uTha jaana 
dil mein rahta hai us ke naqsh-e-sanam 
shaiKH ko hum ne parsa jaana 
ghair mumkin hai daKHl-e-ghair is mein 
dil ko jab KHana-e-KHuda jaana 
ai madad-gar jinn-o-insan ke 
bigDiyon ko meri bana jaana 
is se afzun sitam nahin koi 
qatl-e-ashiq ko tum ne kya jaana 
kya bataun tujhe 'jamila' main 
aafat-e-jaan hai dil ka aa jaana
        Ghazal
Chhup ke ghairon se dil mein aa jaana
Jameela Khuda Bakhsh

