chhup ke duniya se sawad-e-dil-e-KHamosh mein aa
aa yahan tu meri tarsi hui aaghosh mein aa
aur duniya mein kahin tera Thikana hi nahin
ai mere dil ki tamanna lab-e-KHamosh mein aa
mai-e-rangin pas-e-mina se ishaare kab tak
ek din saghar-e-rindan-e-bala-nosh mein aa
ishq karta hai to phir ishq ki tauhin na kar
ya to behosh na ho ho to na phir hosh mein aa
tu badal de na kahin jauhar-e-insan ka bhi rang
ai zamane ke lahu dekh na yun josh mein aa
dekh kya dam lagati hai nigah-e-'mulla'
kabhi ai ghuncha-e-tar dast-e-gul-afrosh mein aa
Ghazal
Chhup ke duniya se sawad-e-dil-e-KHamosh mein aa
Anand Narayan Mulla