chhoDenge gareban ka na ek tar kabhi hum
baiThenge junun mein to na bekar kabhi hum
rahte na ijazat ke talabgar kabhi hum
hote jo tere talib-e-didar kabhi hum
pahnaega hum ko wo gul-e-zaKHm ki baddhi
pahnaenge qatil ko jo ek haar kabhi hum
diwana-nawazi hai ki sar ko diye patthar
chhoDenge na ab daman-e-kohsar kabhi hum
wallah buton se nahin karne ke mohabbat
rakkhenge na ab rishta-e-zunnar kabhi hum
anqa ho jahan se meri jaan nam-e-huma bhi
paen jo tera saya-e-diwar kabhi hum
phahe to rahe dagh junun par pa-e-jannat
kya Dar hai jo rakhte nahin dastar kabhi hum
tajwiz kiya kijiyega yun hain sazaen
ya rahm ke bhi honge saza-war kabhi hum
fursat nahin milti hai ghazal kahne ki ai mehr
paDhte hain tab is Dhang ke ashaar kabhi hum
Ghazal
ChhoDenge gareban ka na ek tar kabhi hum
Hatim Ali Mehr