chhoDa na tujhe ne ram kya ye bhi na hua wo bhi na hua
hum se to but-e-kafir ba-KHuda ye bhi na hua wo bhi na hua
afsos adam se aa ke kiya kya hum ne gulshan-e-hasti mein
jun shabnam-o-gul roya na hansa ye bhi na hua wo bhi na hua
us aaina-ru ke wasl mein bhi mushtaq-e-bos-o-kanar rahe
ai aalam-e-hairat tere siwa ye bhi na hua wo bhi na hua
dil ku-e-butan mein ja baiTha dam KHana-e-tan ko chhoD gaya
haif aaKHir-e-kar rafiq apna ye bhi na hua wo bhi na hua
ya bahr-e-tawaf-e-kaba gae ya moatakif-e-but-KHana hue
kya shaiKH o barhaman hum ne kiya ye bhi na hua wo bhi na hua
ai qasid-e-ashk o paik-e-saba us tak na payam-o-KHat pahuncha
tum kya karo han qismat ka likha ye bhi na hua wo bhi na hua
khench us ko na laya jazba-e-dil tasir na kuchh nale hi ne ki
main donon ka bas shaki hi raha ye bhi na hua wo bhi na hua
us lab ka liya bosa na kabhu haihat na lipTa pawon se
dil tujh se ba-rang-e-pan-o-hina ye bhi na hua wo bhi na hua
majnun to phira jangal jangal farhad ne chira koh-e-dila
main aah raha be-dast-o-pa ye bhi na hua wo bhi na hua
din ko bhi na dekha hum ne use shab KHwab mein bhi yaro na mila
is tala-e-KHufta ka howe bura ye bhi na hua wo bhi na hua
nazdik 'nasir' apne aasan farmaish thi goya ye ghazal
kuchh us ka bhi kahna mushkil tha ye bhi na hua wo bhi na hua
Ghazal
ChhoDa na tujhe ne ram kya ye bhi na hua wo bhi na hua
Shah Naseer