chhin le quwwat binai KHudaya mujh se
dekha jata nahin ab tera tamasha mujh se
ek muddat se aza-dar-e-alam-dar hun main
TuTne wala nahin pyas ka rishta mujh se
ghaTta rahta hun main viran haweli ki tarah
bhagta phirta hai hangama-e-duniya mujh se
ab kisi mein bhi yahan tab-e-samaat na rahi
koi sunta hi nahin hai mera qissa mujh se
mujh ko har lamha qanaat ne sar-afraaz kiya
muflisi warna tera bojh na uThta mujh se
chain se kaTti hai ab KHema-e-gum-nami mein
koi rishta hi nahin KHalq-e-KHuda ka mujh se
dekhta hi nahin wo meri bulandi ki taraf
yani sharminda hai ab waqt ka zina mujh se
faqa-masti mein bhi qaem hai meri kaj-kulahi
aur kya chahti hai azmat-e-rafta mujh se
kab utaroge mere jism se ghurbat ka libas
puchhti hai meri diwar-e-shikasta mujh se

Ghazal
Chhin le quwwat binai KHudaya mujhse
Sultan Akhtar