chhin kar wo lazzat-e-saut-o-sada le jaega
hath shal kar jaega harf-e-dua le jaega
bich ka baDhta hua har fasla le jaega
ek tufan aaega sab kuchh baha le jaega
dekhna baDhta hua ye KHwahishon ka silsila
mauj-e-KHun dikhlaega rang-e-hina le jaega
be-muqaddar chhoD jaega sabhi peshaniyan
raushni aankhon ki sine ki ziya le jaega
ghar se jate waqt wo ab ke buzurgon ki dua
le to jaega magar Darta hua le jaega
lams mein mil jaega aawaz ka asrar bhi
paniyon ke paikaron ko bhi uTha le jaega
ek parinda raat ki chaukhaT pe aaega 'nizam'
dekhna hai dega kya aur hum se kya le jaega
Ghazal
Chhin kar wo lazzat-e-saut-o-sada le jaega
Sheen Kaaf Nizam