chhaT gaya abr shafaq khul gai tare nikle
band kamron se tere dard ke mare nikle
shaKH par pankhuDiyan hon ki palak par aansu
tere daman ki jhalak dekh ke sare nikle
tu agar pas nahin hai kahin maujud to hai
tere hone se baDe kaam hamare nikle
tere honTon meri aankhon se na badli duniya
phir wahi phul khile phir wahi tare nikle
rah gai laj meri arz-e-wafa ki 'mushtaq'
KHamushi se teri kya kya na ishaare nikle
Ghazal
ChhaT gaya abr shafaq khul gai tare nikle
Ahmad Mushtaq