اردو हिंदी
Chhalak rahi hai mai-e-nab tishnagi ke liye | Shaahi Shayari
chhalak rahi hai mai-e-nab tishnagi ke liye

Ghazal

Chhalak rahi hai mai-e-nab tishnagi ke liye

Zehra Nigaah

;

chhalak rahi hai mai-e-nab tishnagi ke liye
sanwar rahi hai teri bazm barhami ke liye

nahin nahin hamein ab teri justuju bhi nahin
tujhe bhi bhul gae hum teri KHushi ke liye

jo tirgi mein huwaida ho qalb-e-insan se
ziya-nawaz wo shoala hai tirgi ke liye

kahan ke ishq-o-mohabbat kidhar ke hijr o visal
abhi to log taraste hain zindagi ke liye

jahan-e-nau ka tasawwur hayat-e-nau ka KHayal
baDe fareb diye tum ne bandagi ke liye

mai-e-hayat mein shamil hai talKHi-e-dauran
jabhi to pi ke taraste hain be-KHudi ke liye