chhanw se us ne daman bhar ke rakkha hai 
jis ne dhup ko upar sar ke rakkha hai 
pal pal KHun bahata hun in aankhon se 
main ne KHud ko manda mar ke rakkha hai 
sari baat hi pahle qadam ki hoti hai 
pahla qadam hi tu ne Dar ke rakkha hai 
apne hi bas pichhe bhagta rahta hun 
KHud ko hi bas aage nazar ke rakkha hai 
KHud hi khaDe hue hain apne pairon par 
hath apna hi upar sar ke rakkha hai 
'shaz' us se hi KHush hota hai waqt ustad 
yaad sabaq sab jis ne kar ke rakkha hai
        Ghazal
Chhanw se usne daman bhar ke rakkha hai
Zakariya Shaz

