chhanw ko takte dhup mein chalte ek zamana bit gaya
hasraton ki aaghosh mein palte ek zamana bit gaya
aaj bhi hain wo sulge sulge tere lab o aariz ki tarah
jin zaKHmon par pankha jhalte ek zamana bit gaya
main ab apna jism nahin hun sirf tumhaara saya hun
mausam ki ye barf pighalte ek zamana bit gaya
ab tak apne hath na aaya surmai chhanw ka daman bhi
chandi jaisi dhup mein jalte ek zamana bit gaya
waqt madari hai kya jaane khel apna kab KHatm kare
sanson ki is Dor pe chalte ek zamana bit gaya
zindagi aur lamhon ka taaqub jin ka koi or na chhor
sadiyon sadiyon moD badalte ek zamana bit gaya
ab bhi teri mehrab-e-suKHan mein shamen si raushan hain 'faza'
suraj ko ye aag ugalte ek zamana bit gaya
Ghazal
Chhanw ko takte dhup mein chalte ek zamana bit gaya
Faza Ibn e Faizi