chhanta hai KHak kya tu ghar banane ke liye
fikr rahne ki na kar aaya hai jaane ke liye
aur ko kya ranj dun rahat uThane ke liye
ek tinke ko na chheDun aashiyane ke liye
barq thi betab mere aashiyane ke liye
abr se bhi peshtar aae jalane ke liye
kaam aai murgh-e-gulshan ke meri kahidgi
le gaya tinka samajh kar aashiyane ke liye
is chaman se gul chale bulbul gareban phaD kar
hai junun tinke jo chunne aashiyane ke liye
hum ne kyun mangi thi gulshan mein dua-e-josh-e-gul
ab jagah milti nahin hai aashiyane ke liye
phir wahi hum the wahi tum the mohabbat thi wahi
sulh kar lete agar aankhen laDane ke liye
hun wo gham-dida hanse koi to main rone lagun
kuchh bahana chahiye aansu bahane ke liye
saya paD jae agar zulf-e-daraaz-e-yar ka
phir kahun main bhi tasalsul hai zamane ke liye
hun wo diwana ki ban kar ho wo majnun ki shabih
meri miTTi len agar laila banane ke liye
pahunchi hai shane talak kya yar ki zulf-e-rasa
dard kyun paida hua hai mere shane ke liye
jumla-tan hai chashm-e-nargis yar teri did ko
gul hama-tan-gosh hain tere fasane ke liye
yun meri qismat mein tha parwaz karna ya nasib
nochte hain tifl par mere uDane ke liye
kaun hoga tere tiron ka nishana mere baad
KHak le jaana meri tuda banane ke liye
bazm-e-alam mein khaDa hun par chala jata hun main
sikh li hai shama se raftar jaane ke liye
kyun dil-e-betab ko dikhlaya KHal-e-zer-e-zulf
dam mein machhli nahin aane ki dane ke liye
ho agar sar-gashtagi mein fikr-e-tamir-e-makan
KHak uDa lae bagula ghar banane ke liye
ab kisi gul-ru ke dil mein kijiye ghar ai 'wazir'
kya chaman mein tinke chuniye aashiyane ke liye
Ghazal
Chhanta hai KHak kya tu ghar banane ke liye
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi