chehra to chamak damak raha hai
andar se ye shaKHs bujh chuka hai
thi tab-e-rawan misal-e-dariya
dariya ye magar utar gaya hai
aankhon mein the KHwab sau tarah ke
ye rang-mahal ujaD chuka hai
naqsh us ke hain be-numud sare
naghma aisa ki be-sada hai
baiTha hai udas ghar mein tanha
jaise koi us ko DhunDhta hai
tum us ko talash kya karoge
KHud apne se jo bichhaD chuka hai
ye rang-e-suKHan hai KHas us ka
ek aisi ghazal jo marsiya hai

Ghazal
Chehra to chamak damak raha hai
Mushfiq Khwaja