chashm mein kab ashk bhar late hain hum
raat din moti hi barsate hain hum
jabki wo tir-e-nigah khate hain hum
sahm kar bas sard ho jate hain hum
jins-e-dil ko chhoD mat ai zulf-e-yar
hai ye sauda muft Thahraate hain hum
naseha dast-e-junun se kaam hai
kab ye chaak-e-jeb silwate hain hum
is qadar mat kar shararat shoala-KHez
teri in baaton se jal jate hain hum
kaun kahta hai na kije imtihan
gar abhi kahiye to mar jate hain hum
KHat but-e-nau-KHat likhe hai ghair ko
pech-o-tab is waste khate hain hum
kholiye kya aankh manind-e-habab
turfat-ul-ain aah miT jate hain hum
chheDne se zulf ke uljho na tum
paD gaya hai pech suljhate hain hum
garche hain darwesh lekin ai falak
tujh ko KHatir mein nahin late hain hum
nim nan ke waste kab jun hilal
tere aage hath phailate hain hum
gulshan-e-duniya hai nairangi ke sath
aur kuchh us ki rawish pate hain hum
kab ba-rang-e-bu-e-gul bahar saba
apne jame se nikal jate hain hum
jis qadar han dekhte hain oDhna
panw yan utne hi phailate hain hum
kya karen kis se kahen na-chaar hain
dil ki be-tabi se ghabraate hain hum
koi bhi itna nahin kahta 'nasir'
sabr kar zalim use late hain hum
Ghazal
Chashm mein kab ashk bhar late hain hum
Shah Naseer