chashm-e-nam-dida sahi KHitta-e-shadab mera
raat ki raat mahakta hai gul-e-KHwab mera
ab tahi-raKHt bhi ho kar main tahi-raKHt nahin
KHwahish-e-baadiya-paimai hai asbab mera
sabt kar aur koi mohr mere honTon par
qufl-e-abjad se nahin band hua bab mera
sahil-e-chashm pe kapDon ko sukhane wale
tu ne kab par kiya tha dil-e-payab mera
nam mera to kiya us ne qalam-zad lekin
daftar-e-ishq se KHarij na hua bab mera
jis qadar aai faraKHi mere dil mein 'tabish'
utna hi tang hua halqa-e-ahbab mera
Ghazal
Chashm-e-nam-dida sahi KHitta-e-shadab mera
Abbas Tabish