chashm-e-junun mein husn-e-salasil hai be-qarar
kis ki gali mein jashn-e-gareban manaen hum
shayad kisi ka hath baDhe ban ke muddai
ilzam ki talash mein daman sajaen hum
rauzan banega dida-e-yaqub ek din
apne liye KHud aap hi zindan banaen hum
chhupne lagi hai zist andheron ki god mein
aao to phir charagh-e-hawadis jalaen hum
shahr-e-tarab mein milte hain apne bhi naqsh-e-pa
aae na gar yaqin to aao dikhaen hum
jalwe hi Das rahe hain shuur-e-jamal ko
kis ko hadis-e-wadi-e-aiman sunaen hum
dasht-e-talab ke KHar bhi dil mein chubhoiye
phir kaise lab pe harf-e-taqaza na laen hum
uryan kiya salib ne hum ko bhi apne sath
socha tha aasman-e-chahaarum pe jaen hum
phir garm ret uD ke chali bastiyon ki samt
mahmil-nashin ko DhunDh ke sahra mein laen hum
zahrab ban chuka hai ye ehsas-e-agahi
ab kis ko baKHt dard ka darman banaen hum

Ghazal
Chashm-e-junun mein husn-e-salasil hai be-qarar
Hasan Bakht