charagh-e-tur jalao baDa andhera hai
zara naqab uThao baDa andhera hai
abhi to subh ke mathe ka rang kala hai
abhi fareb na khao baDa andhera hai
wo jin ke hote hain KHurshid aastinon mein
unhen kahin se bulao baDa andhera hai
mujhe tumhaari nigahon pe e'timad nahin
mere qarib na aao baDa andhera hai
faraaz-e-arsh se TuTa hua koi tara
kahin se DhunD ke lao baDa andhera hai
basiraton pe ujalon ka KHauf tari hai
mujhe yaqin dilao baDa andhera hai
jise zaban-e-KHirad mein sharab kahte hain
wo raushni si pilao baDa andhera hai
ba-nam-e-zohra-jzbinan-e-KHitta-e-firdaus
kisi kiran ko jagao baDa andhera hai
Ghazal
Charagh-e-tur jalao baDa andhera hai
Saghar Siddiqui