اردو हिंदी
Charagh-e-shauq jala kar kahan se jaana tha | Shaahi Shayari
charagh-e-shauq jala kar kahan se jaana tha

Ghazal

Charagh-e-shauq jala kar kahan se jaana tha

Khaavar Ejaz

;

charagh-e-shauq jala kar kahan se jaana tha
hamein to ho ke saf-e-dushmanan se jaana tha

ye dil ye shahr-e-wafa kab use pasand aaya
wo be-qarar tha us ko yahan se jaana tha

nazar mein rakkha nahin ek bhi sitara tera
ki KHak-zad the hum aasman se jaana tha

kisi bahane sahi zindagi ka qarz utra
hamein to waise bhi ek roz jaan se jaana tha

nadi mein rah ke chaTanon se darguzar karna
ye hum ne fitrat-e-mauj-e-rawan se jaana tha