charagh-e-hasrat-o-arman bujha ke baiThe hain
har ek tarh se KHud ko jala ke baiThe hain
na koi rahguzar hai na koi virana
gham-e-hayat mein sab kuchh luTa ke baiThe hain
junun ki had hai ki hosh-o-KHirad ki manzil hai
KHabar nahin hai kahan aaj aa ke baiThe hain
kabhi jo dil ne kaha ab chalo yahan se chalen
to uTh ke aalam-e-wahshat mein ja ke baiThe hain
ye kis jagah pe qadam ruk gae hain kya kahiye
ki manzilon ke nishan tak miTa ke baiThe hain
Ghazal
Charagh-e-hasrat-o-arman bujha ke baiThe hain
Baqar Mehdi