chand ghaDiyan nahin guzri thin shanasai ko
shoala-andam chale aae pazirai ko
kaun jaane wo hasin tha ki tamanna meri
DhunD lai thi kahin se meri ruswai ko
aks Thahra tha mere dida-e-tar mein kab se
aaina DhunD na paya ruKH-e-zebai ko
TuT kar reza hue jate hain sab KHwab mere
kah do girya na kare chashm-e-tamashai ko
baad-o-baran bhi nahin baam nahin dar bhi nahin
koi chhino na mere gosha-e-tanhai ko
apne ehsas pe khincho na lakiren 'shahnaz'
toD bhi Dalo but-e-rahzan-e-binai ko
Ghazal
Chand ghaDiyan nahin guzri thin shanasai ko
Shahnaz Muzammil