chanaren wadiyon mein mushtail hain
daregha sarw abhi tak pa-ba-gil hain
uThe hain lala-e-KHunin-kafan phir
yahi shoale jahan-e-mustaqil hain
agar do-gam par manzil hai phir kyun
chaTanen zindagi ki munfail hain
gulon par be-dili ka rang kyun hai
anadil sahn-e-gulshan mein KHajil hain
rafu ho jaenge chaak-e-bahaaran
KHizan ke ghaw dekho mundamil hain
khanakte hi rahe shishe to kis kaam
labon tak jam ja pahunchen to dil hain
gae manzil-ba-manzil dar tak hum
marahil ishq ke kab jaan-gusil hain
mile hain baad muddat ke to jaana
bahut apne kiye par munfail hain
Thikana kya hai aise doston ka
muqabil hain na mere muttasil hain

Ghazal
Chanaren wadiyon mein mushtail hain
Qayyum Nazar