chameli ghas par bikhri paDi hai
hawa ye bagh mein kaisi chali hai
lakiron se bane ek aaine mein
kisi ki shakl uljhi rah gai hai
meri khiDki se chiDiyan uD gai hain
munDeron ki marammat jab se ki hai
ilahi KHair ho ye kaun aaya
bahut be-waqt ghanTi baj rahi hai
nikal aae achanak ghas mein phul
sitaron ne unhen aawaz di hai
KHatib-e-shahr ne diwar kaisi
dilon ke aanganon mein khinch di hai
faqat tariKH ko mazhab samajh kar
abhi tak hum ne kitni bhul ki hai
ye sikkon ki tamanna ka samar hai
mere baalon mein chandi aa gai hai
usi aaluda pani mein hamari
tumhaari umr bahti ja rahi hai
Ghazal
Chameli ghas par bikhri paDi hai
Shah Nawaz Zaidi