اردو हिंदी
Chaman mein Khaar hi kya gul bhi dil-figar mile | Shaahi Shayari
chaman mein Khaar hi kya gul bhi dil-figar mile

Ghazal

Chaman mein Khaar hi kya gul bhi dil-figar mile

Jafar Abbas Safvi

;

chaman mein KHar hi kya gul bhi dil-figar mile
fareb-KHurda-e-rangini-e-bahaar mile

maza to jab hai ki wo aaftab-e-subh-e-jamal
gale lipaT ke sar-e-sham-e-intizar mile

nigah-e-yas se munh tak raha hun ek ek ka
koi to bazm-e-raqiban mein gham-gusar mile

jinhon ne apne lahu se chaman ko sincha tha
unhin ke jaib-o-gareban tar tar mile

main un ke wadon ka yun bhi yaqin karta hun
mile mile na mile lutf-e-intizar mile

qafas ke baad chaman mein ye dekhna hai mujhe
KHizan mile ki wahan mausam-e-bahaar mile

wahi to fikr-e-suKHan aaj-kal kare 'jafar'
jise hayat ka mahaul KHush-gawar mile