اردو हिंदी
Chaman mein dahr ke har gul hai kan ki surat | Shaahi Shayari
chaman mein dahr ke har gul hai kan ki surat

Ghazal

Chaman mein dahr ke har gul hai kan ki surat

Shaikh Zahuruddin Hatim

;

chaman mein dahr ke har gul hai kan ki surat
har ek ghuncha hai us mein zaban ki surat

nahin hai shikwa agar wo nazar nahin aata
kisu ne dekhi nahin apni jaan ki surat

kahen to sab hain jahan ko rabaat-e-kohna wale
hamesha hai gi nai is makan ki surat

jo dekhta hai so pahchanta nahin, aisi
badal gai hai dil-e-na-tawan ki surat

jo nikli baize se bulbul to hui asir-e-qafas
na dekhi khol ke aankh aashiyan ki surat

agar hazar musawwir KHayal dil mein karen
kabhu na khinch saken us ki aan ki surat

falak ke KHwan upar us ki tang-chashmi se
kabhu nazar na paDi mehman ki surat

ghaDi ghaDi mein badalta hai rang ai 'hatim'
hamesha bu-qalamun hai jahan ki surat