chaman mein barq kabhi aashiyan se dur nahin
zamin pe hum hain magar aasman se dur nahin
jaga sako to jagao ki naKHuda dekhe
tawaf-e-mauj-e-bala baadban se dur nahin
ye aalam-e-bashariyat bikharne wala hai
koi makan bhi ab la-makan se dur nahin
qarib aa na saka main tere magar KHush hun
ki mera zikr teri dastan se dur nahin
zara si aur mahaarat ho tir-zan ko ata
nishana ab mere dil ke nishan se dur nahin
ye hai dawam ki manzil ki hai fana ka khanDar
ye raaz aaj mere raKHsh-e-jaan se dur nahin
main apne dil ka fasana likhun to kyun na likhun
ki qissa-goi mein main 'mopasan' se dur nahin
na kar ai tishna mudaraat mein takalluf kuchh
ki ghar ka haal tere mehman se dur nahin
Ghazal
Chaman mein barq kabhi aashiyan se dur nahin
Tishna Barelvi