chaman-bandi pe hai mahshar bapa kya
khile hain gul uDi hai KHak kya kya
shahidan-e-wafa bhi ji uThenge
koi jadu jaga ab puchhna kya
KHiram-e-naz mauzun hai tujhi ko
uThi aThkheliyan karti saba kya
fasad-e-in-o-an hai kis ke dam se
kahenge aur tujh se barmala kya
qayamat hai ki wo yun bhi hain na-KHush
dua mein bhi tha harf-e-muddaa kya
fareb-e-agahi ne mar Dala
KHuda kya naKHuda kya aur kya kya
yahi uDta hua lamha rahega
abas hai ibtida kya intiha kya
ghubar-e-kahkashan chhaT bhi gaya to
kahin le jaega ye rasta kya
'nazar' is kaifiyat se kaun nikle
hua wo aashna na-ashna kya

Ghazal
Chaman-bandi pe hai mahshar bapa kya
Qayyum Nazar