اردو हिंदी
Chale the hum ki sair-e-gulshan-e-ijad karte hain | Shaahi Shayari
chale the hum ki sair-e-gulshan-e-ijad karte hain

Ghazal

Chale the hum ki sair-e-gulshan-e-ijad karte hain

Hafeez Jalandhari

;

chale the hum ki sair-e-gulshan-e-ijad karte hain
ki itne mein ajal aa kar pukari yaad karte hain

hujum-e-arzu se shahr-e-dil aabaad karte hain
hum apni KHak apne hath se barbaad karte hain

taraf-dari na kar insaf kar ai dawar-e-mahshar
saza de in buton ko warna hum fariyaad karte hain

kabhi to rang laega kabhi to gul khilaega
hum apna KHun sarf-e-gulshan-e-ijad karte hain

hamein to kar-pardazan-e-qudarat khel samjhe hain
kabhi aabaad karte hain kabhi barbaad karte hain

kisi ummid par zinda rahun ya ghuT ke mar jaun
wo kya kahte hain ai qasid wo kya irshad karte hain

'hafiz' apni tabiat par mujhe KHud rashk aata hai
mere ashaar par hazrat hamesha sad karte hain