chale the bhar ke ret jab safar ki jism-o-jaan mein hum
to sahilon ka aks dekhte the baadban mein hum
tuyur the jo ghonslon mein paikaron ke uD gae
akele rah gae hain apne KHwab ke makan mein hum
hamari justuju bhi ab to ho gai hai gard gard
ki naqsh-e-pa ko DhunDte hain rah ke har nishan mein hum
ishaariyat thi be-zaban tha lafz lafz dastan
sunate kis tarah ki gum the KHud hi dastan mein hum
baras rahi hai aasman se misl-e-sang tirgi
khaDe hain kab se teri aarzu ke saeban mein hum
zamin ka dard be-badan bhi ho ke apne dil mein tha
tabhi to khinch ke aa gae the warna aasman mein hum
nafas nafas hai zindagi ka karobar muntashar
diwaliya hue ki jab se aae is jahan mein hum
Ghazal
Chale the bhar ke ret jab safar ki jism-o-jaan mein hum
Aleem Afsar