chale bazm-e-dauran se jab zahr pi ke
baDhe hausle aur bhi zindagi ke
fasanon se meri hi aawargi ke
muayyan hue raste zindagi ke
zamane ko dun kya ki daman mein mere
faqat chand aansu hain wo bhi kisi ke
nigah-e-karam ki zarurat nahin hai
zara dekh lun be-sahaare bhi ji ke
hain 'masrur' aankhen tumhaari jo pur-nam
batao ye aansu hain gham ya KHushi ke
Ghazal
Chale bazm-e-dauran se jab zahr pi ke
Aleem Masroor