chala hun apni manzil ki taraf to shadman ho kar
kahin mayusi-e-dil ho na rahzan pasban ho kar
hamari dastan ho kar tumhaari dastan ho kar
kahan pahunchi mohabbat karwan-dar-karwan ho kar
mere zauq-e-ubudiyyat ki takmil ai maaz-allah
jabin inam-e-sajda de rahi hai aastan ho kar
KHud apne soz se jalna to har ek shama ko aaya
wo parwana jo KHakistar hai soz-e-digaran ho kar
kali ka muskurana kah raha hai dastan un ki
KHizan jab aai ham-rah-e-bahaar-e-gulistan ho kar
hamein ujDe nasheman ki jab apne yaad aati hai
qafas ki tiliyan jalti hain shaKH-e-ashiyan ho kar
'figar' aah-o-fughan se kam na thi azmat mere gham ki
magar kuchh aur rutba baDh gaya soz-e-nihan ho kar

Ghazal
Chala hun apni manzil ki taraf to shadman ho kar
Figar Unnavi