chala aankhon se jab kashti mein wo mahbub jata hai
kabhi aankhen bhar aati hain kabhi ji Dub jata hai
kaho kyunkar na phir howega dil raushan zuleKHa ka
jahan yusuf sa nur-e-dida-e-yaqub jata hai
jahan ke KHub-ru mujh se churaen kyun na phir aankhen
jo koi KHurshid ko dekhe so wo mahjub jata hai
mera aansu bhi qasid ki tarah ek dam nahin rukta
kisi betab ka goya liye maktub jata hai
'yaqin' hargiz kiya mat kar iti tarif laDkon ki
isi baaton sati mazmun sa mahbub jata hai
Ghazal
Chala aankhon se jab kashti mein wo mahbub jata hai
Yaqeen Inamullah Khan