chal tujhe yar ghuma lata hun
aasman par ghuma lata hun
waqt muTThi mein hai gar chaho to
pichhle adwar ghuma lata hun
dil tujhe maut paDi hai kaisi
kyun hai bezar ghuma lata hun
ab zara dasht ko bhi dekh aaen
kar na inkar ghuma lata hun
main to us par bhi ja sakta hun
ai mere yar ghuma lata hun

Ghazal
Chal tujhe yar ghuma lata hun
Saim Ji