chaaragaron ne bandh diya mujh ko baKHt se
chhanw mili na mujh ko dua ke daraKHt se
baiTha tha main hisar-e-falak mein zamin par
dushman ne fath khinch li meri shikast se
main bhi to tha farefta KHud apne-ap par
shikwa karun main kya dil-e-nargis-parast se
girya ki saltanat mujhe degi shikast kya
chhini hai main ne zindagi pani ke taKHt se
harf-e-dua pe gosh-bar-awaz ho wo kyun
dil se kalam hota hai maston ke mast se
hamd-o-sana suKHan ka nahin dil ka hai riyaz
kaise sana karun main dil-e-laKHt-laKHt se
ahl-e-KHirad ise na samajh paenge 'faqih'
kuchh masale hain mawara fath o shikast se
Ghazal
Chaaragaron ne bandh diya mujhko baKHt se
Ahmad Faqih