chap aae ki mulaqat ho aawaze se
kab se tanhai lagi baiThi hai darwaze se
mujh se taswir talab karti hain meri aankhen
main ne kuchh rang chune the tere shiraaze se
saf-goi se ab aaina bhi katraata hai
ab to pahchanta hun KHud ko bhi andaze se
main to miTTi ka badan oDh ke KHud nikla hun
kya Daraati hain hawaen mujhe KHamiyaze se
apne chehre pe na auron ke KHad-o-KHal saja
rup aata hai kahin utre hue ghaze se
jhuTi azmat ki pujari hai 'muzaffar' duniya
pasta-qad log bhi guzren baDe darwaze se
Ghazal
Chap aae ki mulaqat ho aawaze se
Muzaffar Warsi