chandni mein saya-ha-e-kaKH-o-ku mein ghumiye
phir kisi ko chahne ki aarzu mein ghumiye
shayad ek bhuli tamanna miTte miTte ji uThe
aur bhi is jalwa-zar-e-rang-o-bu mein ghumiye
ruh ke darbasta sannaTon ko le kar apne sath
hamhamati mahfilon ki hao-hu mein ghumiye
kya KHabar kis moD par mahjur yaaden aa milen
ghumti rahon pe gard-e-arzu mein ghumiye
zindagi ki rahaten milti nahin milti nahin
zindagi ka zahr pi kar justuju mein ghumiye
kunj-dauran ko nae ek zawiye se dekhiye
jin KHalaon mein nirale chand ghumen ghumiye
Ghazal
Chandni mein saya-ha-e-kaKH-o-ku mein ghumiye
Majeed Amjad