اردو हिंदी
Chand par hai mujhe tera hi guman aaj ki raat | Shaahi Shayari
chand par hai mujhe tera hi guman aaj ki raat

Ghazal

Chand par hai mujhe tera hi guman aaj ki raat

Ishrat Anwar

;

chand par hai mujhe tera hi guman aaj ki raat
sujhta hi nahin kuchh sud-o-ziyan aaj ki raat

dard-e-insan mein insan miTa jata hai
ek nae ahd ka milta hai nishan aaj ki raat

jama-e-hasti-e-insan hai ba-rang-e-matam
uTh raha hai sham-e-sozan se dhuan aaj ki raat

ek nae moD pe hai dard-e-mohabbat apna
daru-e-dard hai KHud dard-e-jahan aaj ki raat

ai sitaron ke KHudawand ye kya aalam hai
chandni mein bhi hai tarik jahan aaj ki raat

kya hai mearaj yahi dard ki lazzat apni
kya isi mein hain rumuz-e-do-jahan aaj ki raat

dur se aati hain kanon mein dilon ki aahen
kya inhin mein hai KHuda-wand-e-jahan aaj ki raat

jo bhi mazlum hai dil us ke liye rota hai
meri har sans mein hai shor-e-fughan aaj ki raat