chand ko reshmi baadal se ulajhta dekhun
wo hawa hai kabhi aanchal kabhi chehra dekhun
dekhne nikla hun duniya ko magar kya dekhun
jis taraf aankh uThaun wahi chehra dekhun
daera khinch ke baiTha hun baDi muddat se
KHud se niklun to kisi aur ka rasta dekhun
ye wo darwaza hai kholun to koi aa na sake
aur agar band karun dil hi mein duniya dekhun
wo ajab chiz hai us ka koi chehra hi nahin
ek parda jo uThe dusra parda dekhun
wo chaka-chaund hai niklega na ghar se koi
dhup agar chhiTke wo hansta hua chehra dekhun
mera saya ho ki main koi to dhoka hai zarur
ghar mein aaina ki ghar se pare dariya dekhun
koi phal phul nahin maghribi chaTTanon par
chand jis ganw se ugta hai wo duniya dekhun
Ghazal
Chand ko reshmi baadal se ulajhta dekhun
Bimal Krishn Ashk