chand ka patthar bandh ke tan se utri manzar-e-KHwab mein chup
chiDiyan dur sidhaar gain aur Dub gai talab mein chup
lafzon ke baTware mein is chiKH-bhare gahware mein
bol to hum bhi sakte hain par shamil hai aadab mein chup
pahle to chaupal mein apna jism chaTaKHta rahta tha
chal nikli jab baat safar ki phail gai aasab mein chup
ab to hum yun rahte hain is hijr-bhare virane mein
jaise aankh mein aansu gum ho jaise harf kitab mein chup
apni aahaT ko bhi apne sath nahin le jate wo
teri rah pe chalne wale rakhte hain asbab mein chup
Ghazal
Chand ka patthar bandh ke tan se utri manzar-e-KHwab mein chup
Abbas Tabish