chand us ghar ke darichon ke barabar aaya
dil-e-mushtaq Thahar ja wahi manzar aaya
main bahut KHush tha kaDi dhup ke sannaTe mein
kyun teri yaad ka baadal mere sar par aaya
bujh gai raunaq-e-parwana to mahfil chamki
so gae ahl-e-tamanna to sitamgar aaya
yar sab jama hue raat ki KHamoshi mein
koi ro kar to koi baal bana kar aaya

Ghazal
Chand is ghar ke darichon ke barabar aaya
Ahmad Mushtaq