chand bhi nikla sitare bhi barabar nikle
mujh se achchhe to shab-e-gham ke muqaddar nikle
sham hote hi barasne lage kale baadal
subh-dam log darichon mein khule sar nikle
kal hi jin ko teri palkon pe kahin dekha tha
raat usi tarah ke tare meri chhat par nikle
dhup sawan ki bahut tez hai dil Dubta hai
us se kah do ki abhi ghar se na bahar nikle
pyar ki shaKH to jaldi hi samar le aai
dard ke phul baDi der mein ja kar nikle
dil-e-hangama-talab ye bhi KHabar hai tujh ko
muddaten ho gain ek shaKHs ko bahar nikle
Ghazal
Chand bhi nikla sitare bhi barabar nikle
Ahmad Mushtaq