chand apni wusaton mein gum-shuda rah jaega
hum na honge to kahan koi diya rah jaega
rafta rafta zehn ke sab qumqume bujh jaenge
aur ek andhe nagar ka rasta rah jaega
titliyon ke sath hi pagal hawa kho jaegi
pattiyon ki oT mein koi chhupa rah jaega
zard patton ki tarah ek din bikhar jaega tu
ja chuke mausam ko tanha sochta rah jaega
shahr-e-viran mein hazaron KHwab le kar ek diya
zad pe tufanon ki hoga aur jala rah jaega
Dubte taron ki surat kuchh lakiren chhoD kar
mere hone aur na hone ka sira rah jaega
aandhiyan kar dengi gul 'ishrat' fasilon ke charagh
ek diya lekin tamanna ka jala rah jaega
Ghazal
Chand apni wusaton mein gum-shuda rah jaega
Ishrat Rumani